Hum career, paise, gaadi, trips, breaks, colleagues, office, boss, desh, duniya, technology, politics, aur philosophy mein kitna kuch uljha lete hain khud ko. Shayad isi liye Rajesh Reddy ji ne likha hoga,
Kis ne paayā sukūn duniyā meñ
Zindagānī kā sāmnā kar ke.
Aise hi, Suraj ke chakkar lagate hue, ek din realise hua ki life mein shayad sabse achha hai apne bachchon ko bade hote dekhna aur apne partner ko kitchen mein kuch karte hue gungunate sunna. Family members se baatein, chidiya ki chahchahāhat, gilhari ka khel-tamasha, garam chai, newspaper, ek achhi neend — aur kabhi-kabhi bas ek lazy sa din.
Sadharan zindagi jiyo, suna toh bahut hai. Bas kisi ne ye nahi bataya ki ise jeena itna aasaan nahi hoga.
Milta hai sukun duniya mein,
Zindagani ko aasaan karke.
